Sishe mein dikhti aapki parchai
Sishe mein dikhti aapki parchai,
kehti hai humse ki aap ho sharmai,
yeh kaisi hai rusvayi,
Mann karta hai thaam lu aapki kalai,
kyunki ab to sahi jaye na ye judaai...
Sishe mein dikhti aapki parchai,
kehti hai humse ki aap ho sharmai,
yeh kaisi hai rusvayi,
Mann karta hai thaam lu aapki kalai,
kyunki ab to sahi jaye na ye judaai...
Dil dharakta hai tujhe dekhun to,
Saans bhi meri rukne lagti hai…
Pyar itna hai mere dil mein sanam,
Rooh bhi meri khinchne lagti hai…!
Chain milta hai jab mein dekhun tujhe,
Warna ye saans bhi rukne lagti hai…!!!
Itna khoobsurat chehra hai tumhara
har dil diwana hai tumhara
log kehte hai chand ka tukda ho tum
lekin ham kehte hai chand tukda hai tumhara...

Dil ki khwahish ko naam kya dun,
pyar ka use paigam kya dun.
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun…?
Zindagi se sabhi ko mohabat hai,
Par Zindagi kisi ki mohabat nahi banti,
Tamanna le kar jeete hai sab log,
Magar har tamanna Taqdeer nahi banti...