Dosto kisi se pyaar na karna
Yeh sach hai dosto kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Thaam ke khanjar apne hi hathon mein,
Bedardi se apne dil par vaar na karna.
Yeh sach hai dosto kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Thaam ke khanjar apne hi hathon mein,
Bedardi se apne dil par vaar na karna.
Tanhai kisi ka intezar nahi karti,
Kismat kabhi bewafai nahi karti,
Unse door hone ka asar hai warna,
Parchai kabhi jism par waar nahi karti…
Mehfil ajeeb thi wo manjar ajeeb tha...
Usne jo chalaya wo khanjar ajeeb tha..
Kaise ham keh de yaaro bewafaa unko...
Uss waqt unki aankhon ka samundar ajeeb tha...
Wo jaante hain ki mujhse sabar nahi hoga,
vo mere dard se be-khabar to nahi hoga,
main do qadam jo chalun, Dil pukarta hai yahi,
ke uska saath na hua to ye safar nahi hoga...
Ishq ne hamein benaam kar diya,
Har khushi se hame anjaan kar diya,
Hamne to kabhi nahi chaha ki
Hame bhi mohabbat ho,
Lekin aap ki ek nazar ne hamein
Nilaam kar diya...