Page - 751

Pasand karte hain barsaat mein chalna

man in rain

Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein
darte hain koi jaan na le.
Pasand karte hain tez barsaat mein chalna
kahi rote huye ko koi pehchaan na le

Mere hisse ki har khushi

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena
mere hisse ki har khushi
apne haathon pe sajaa lena.

Aankhein tere deedar ko tarasti hain

Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.

ham yaar ko manane nikle

Is kadar ham yaar ko manane nikle
uski chahat ke ham deewane nikle
jab bhi use dil ka haal batana chaha
to uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...

Aur Shahjahaa ne Tajmahal bana diya

taj mahal

Ishq ne insaan ko kyaa se kyaa bana diya
Kisi ko kavi or kisi ko qaatil bana diya..
Do fool ka bhi bojh na utha sakti thi MUMTAJ..
Aur Shahjahaa ne uspar Tajmahal bana diya...