Aata hai jab bhi Khyaal Unka
Dil ko aata hai jab bhi Khyaal Unka
Tasvir se puchte hain phir Haal Unka,
Wo kabhi humse pucha karte the Judaai kya hai
Aaj Samajh aaya hai Sawaal Unka... :(
Dil ko aata hai jab bhi Khyaal Unka
Tasvir se puchte hain phir Haal Unka,
Wo kabhi humse pucha karte the Judaai kya hai
Aaj Samajh aaya hai Sawaal Unka... :(
Kissi ki yaadon ne pagal bana rakha hai,
Kahin mar naa jaaun kafan sila rakha hai,
Jalaane se pehle Dil nikal lena,
Kahin woh naa jal jaaye jo Dil mein chupa rakha hai.
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna...
Woh Nazar kahaan se laun jo tumhe bhulade,
Woh dawa kahaan se laun jo is Dard ko mitade,
Milna to likha hota hai Taqdiron me Par,
Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
Hum gilla nahin karte….
jo na ho kismat mein vo mila nahin karte
zakhm kuch iss tarah khaaye hai Dil pe humne
yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte