Page - 233

Khuda se pehle tujhe yaad kiya

Teri berukhi ko bhi rutba diya hamne.
Pyar ka har farz ada kiya humne.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe.
aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya hamne.

Kya Pyaar ka izhaar zaruri hai

Unhe chahna hamari kamzori hai,
Unse keh nahi paana hamari majboori hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai…

Wo hamara imtihaan kya legi

Wo hamara imtihaan kya legi.
Milegi nazro se nazar to,
Apni nazre jhuka legi,
Use meri kabar par deeya jalane ko mat kehna,
Wo naadan hai dosto apna haath jala legi…

Humne wahan bhi mohabbat ki

Uski nazar ko furst na mile hogi,
Warna mera marz itna lailaaj na tha,
Humne toh wahan bhi mohabbat hi ki ,
Jahan mohabbat ka riwaaj na thaa