Page - 175

Dobara Kisi Se Pyar Nahi Hote

सपना कभी साकार नहीं होता,
#मोहब्बत का कोई आकार नहीं होता,
सब कुछ हो जाता है इस #दुनिया में,
मगर दोबारा किसी से #प्यार नहीं होता।

Sooraj Sitare Chand Mere Sath Rahe

#सूरज, #सितारे, #चाँद मेरे साथ में रहे
जब तक तुम्हारे हाथ मेरे #हाथ में रहे

शाखों से जो टूट जाये वो पत्ते नही हैं हम
#आंधी से कोई कह दे कि #औकात में रहे......

Usne Jo Chalaya Wo Khanzar Ajeeb Hai

Na #Mehfil Ajeeb Hai Na Wo #Manzar Ajeeb Hai,
Usne Jo Chalaya Hai Wo #Khanzar Ajeeb Hai,

Na Doobne Deta Hai Na Nikalne Deta Hai,
Uske #Dil Ka Wo #Samundar Ajeeb Hai !!!

Shayad Ham Unse Pyar Jyada Kar Gaye

Wo Karib Aane Ka #Irada Kar Gaye.,
Door Jakar Wapas Aane Ka Vada Kar Gaye...

Koi Na Aaya Unki #Yaadon Ke Siva.,
Shayad Ham Hi Unse #Pyar Jyada Kar Gaye...

Kya Fayda Kisi Ko Chahne Ka

Kya Fayda Kisi Ko Chahne Ka,
Kya Fayda Kisi Ki Yaadon Mein Aansu Bahane Ka,

Jo Samjhe Na Kisi Ke Dil Mein Basa Pyar,
Kya Fayda Uske Pyar Mein Dil Ko Tadpane Ka.....