Page - 210

DIL bola aankh se dekho kam

DIL bola AaNkH se
Dekha karo kam
dekhte ho Aap aur Tadapte hain Ham :(
.........................................................................
ANKH boli DIL se
"Chaha karo Kam "
"Chahte ho Aap aur Rote hain Ham" ;(

Dhundne nikla jisko vahi na tha

Jagmagaate Shehar Ki Raanayion Mein Kya Naa Tha;
Dhundne Nikla Tha Jisko, Bas Vahi Chehra Na Tha!
Hum Vahi, Tum Bhi Vahi, Mausam Vahi, Manzar Vahi;
Faansle Badh Jaayenge Itne, Kabhi Socha Na Tha!

Khawab dekhne ki jab aadat

Khawab dekhne ki jab aadat ho jaati hai
Haqiqat berang nazar aati hai
Koi jeene ke liye intzaar karta hai
Aur
Kisi ki zindgi intzaar mein beet jaati hai

Usko chaha par izhaar naa kar paye

Usko chaha bhi par izhaar naa kar paye
uske siwa kisi aur se pyar naa kar paye
Usne maangi bhi to mujhse judai mangi
Unse mohabbat itni thi ki inkaar naa kar paye

Ek Gunah Har Baar Karta Hu

Mein Ek Gunah Har Baar Karta Hu

Har Sajde Mein Use Hi Yaad Qyun Karta Hu

Ae Khuda Agar Wo Bana Hi Nahi Mere Liye

To Main Use Itna Pyar Qyun Karta Hu...