Page - 223

Phool bankar muskarana zindagi

Phool bankar muskarana zindagi
muskarake gum bhulana zindagi
jeet kar koi khush ho to kya hua
haar kar khushiyan manana bhi zindagi...

Karte hain intzaar raat ka

Honth keh nahi sakte jo fasana Dil ka
Shayad nazar se woh baat ho jaye.
Iss umeed mein karte hain intzaar raat ka
ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.

Paas hote to manzar kya hota

Zarurat hi nahi hai kisi alfaaz ki
pyaar to cheez hai bas ehsaas ki
paas hote to manzar hi kya hota
door se hi khabar hai hame aapki har saans ki...

Tere hi aks ne roka rastaa mera

Yaadon ki parchayi mein ab to aaye tera hi chehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera

yeh zindagi aap ki amaanat thi

Dil ki basti bikhar gayi hoti
ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote
yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna
hum to kab ke mar gaye hote!