Page - 224

Yun mile ke Mulakaat Na Ho Saki

Yun mile ke Mulakaat Na Ho Saki
Hont khulay Magar Koi Baat Na Ho Saki
Meri Khamosh Nigahein Har Baat keh Gayi
Aur Unko Shikayat Hai Ke Baat Na Ho Saki

Tamanna ho agar milne ki to

Aansu mein naa dhundhna hamein
ham tumhe aankhon mein mil jaayenge
tamanna ho agar milne ki to
band aankhon se bhi nazar aaenge...

Tumhe paa to nahi saktay magar

Naa tujh ko chor saktay hain tere ho bhi nahi saktay
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi saktay
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi saktay

Chupa saktay hain aur na hum dikha saktay hain logo ko
Kuch aisa daag hain Dil par jo hum dho bhi nahi saktay
Kaha thaa chor dain ge yeh nagar phir ruk gaye laikin
Tumhe paa to nahi saktay magar kho bhi nahi saktey

Ye dil walon ki duniya hai

Sabhi ko sabh kuch nahi milta
nadi ki har lehar ko sahil nahi milta
ye Dil walon ki duniya hai dost
kisi se Dil nahi milta to koi Dil se nahi milta...

Aap karib ho to apnapan hai

Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai
Kaanon me goonjti shehnai si lagti hai
Aap karib ho to apnapan hai
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai...


Notice: ob_end_clean(): Failed to delete buffer. No buffer to delete in /home/desi22/desistatus/category.php on line 374