Page - 195

Apne sine se laga ke gam door kardo

Apne sine se laga ke mere gam ko door kardo
Tumse juda na ho pau Itna majboor kardo
Meri nas nas mein bas jaye pyar tera
Mein kisi ko na dekhu itna magroor kardo

Waqt apni raftar se chalta jayega

Waqt apni raftar se chalta jayega

zindagi ko 1 alag muqam par le jayega

Yu to kami na hogi dosto ki magar

Aap ki jagah na koi tha or na koi le payega.

Aag dil mein lagi jab wo khafa huye

आग दिल में लगी जब वो खफ़ा हुए
महसूस हुआ तब, जब वो जुदा हुए
करके वफ़ा कुछ दे ना सके वो
पर बहुत कुछ दे गए जब वो बेवफ़ा हुए!

Mohabbat karne wale baat samajh lete hain

Mohabbat karne wale aankhon ki baat samajh lete hain,
.
Sapne mein mil jaaye to mulakaat samajh lete hain,
.
Rota to aasman bhi hai apne bichde yaar ke liye,
.
Par log apni khushi ki khatir usse barsat samajh lete hain....

Aapke Sheher Ka Mausam Suhana Lage

Aapke Sheher ka Mausam Bada Suhana Lage
Ik Shaam Chura loon Agar bura Naa Lage,
Naa Jaane Kya Hai Kisi Ki Udas Aankhon Main,
Wo Mooh Fer Ke Bhi Jaye To Bewafa Naa Lage...